humse chhup kar hamein dekhta kaun tha
ham se chhup kar hameñ dekhtā kaun thā
ham jahāñ the vahāñ tīsrā kaun thā
kis ne rāhoñ meñ merī ugaa.e the chāñd
merī ḳhātir mujassam duā kaun thā
aaj tak maiñ samajh na sakā ek shaḳhs
merā dushman thā yā dost thā kaun thā
mere chehroñ kī gintī kise yaad thī
mujh se baḌh kar mirā āshnā kaun thā
merī āñkhoñ se chhup kar mire jism meñ
raat aañsū bahātā huā kaun thā
tum agar apne qātil nahīñ ho 'ḳhumār'
to vo tum jaisī hī shakl kā kaun thā
hum se chhup kar hamein dekhta kaun tha
hum jahan the wahan tisra kaun tha
kis ne rahon mein meri ugae the chand
meri KHatir mujassam dua kaun tha
aaj tak main samajh na saka ek shaKHs
mera dushman tha ya dost tha kaun tha
mere chehron ki ginti kise yaad thi
mujh se baDh kar mera aashna kaun tha
meri aankhon se chhup kar mere jism mein
raat aansu bahata hua kaun tha
tum agar apne qatil nahin ho 'KHumar'
to wo tum jaisi hi shakl ka kaun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.