humse hamare laKHt-e-jigar chhin loge kya
ham se hamāre laḳht-e-jigar chhīn loge kyā
mazlūm kī duā se asar chhīn loge kyā
majme meñ apne qad ko baḌhāne ke shauq meñ
jis kā ho qad darāz vo sar chhīn loge kyā
is jurm meñ ki ḳhvāb haiñ dekhe bahār ke
ahl-e-nazar se husn-e-nazar chhīn loge kyā
āñkhoñ pe ab nazar hai bujhā kar charāġh sab
ḳhvāboñ se un kā āḳhirī ghar chhīn loge kyā
husn-o-jamāl apnā baḌhāne ke ḳhabt meñ
dhartī se barg-o-bār-o-shajar chhīn loge kyā
ghere meñ zālimoñ ke alam haq kā thā manā
'alvī' se kūfiyo ye hunar chhīn loge kyā
hum se hamare laKHt-e-jigar chhin loge kya
mazlum ki dua se asar chhin loge kya
majme mein apne qad ko baDhane ke shauq mein
jis ka ho qad daraaz wo sar chhin loge kya
is jurm mein ki KHwab hain dekhe bahaar ke
ahl-e-nazar se husn-e-nazar chhin loge kya
aankhon pe ab nazar hai bujha kar charagh sab
KHwabon se un ka aaKHiri ghar chhin loge kya
husn-o-jamal apna baDhane ke KHabt mein
dharti se barg-o-bar-o-shajar chhin loge kya
ghere mein zalimon ke alam haq ka tha mana
'alwi' se kufiyo ye hunar chhin loge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.