humse hi raushan raha hai tere maiKHane ka nam
ham se hī raushan rahā hai tere maiḳhāne kā naam
ham hī le sakte nahīñ ab ek paimāne kā naam
zīnat-e-sad-anjuman hai aap kī maujūdgī
hai qayāmat aap ke mahfil se uTh jaane kā naam
dil ke bahlāne pe duniyā ne kiye haiñ vo sulūk
ab na leñge bhuul kar bhī dil ko bahlāne kā naam
raat kī ra.anā.iyāñ haiñ zulf-e-barham ke tufail
sub.h-e-sādiq aap ke aariz sañvar jaane kā naam
dar-haqīqat zindagī kyā hai ye ham se pūchhiye
maut se āñkheñ milā kar zahr pī jaane kā naam
toḌ kar is zindagī ke ḳhud-tarāshīda sanam
ham ne ka.aba rakh liyā hai dil ke but-ḳhāne kā naam
chappe-chappe par junūñ ne kar diye raushan charāġh
varna 'shā.ir' jāntā thā kaun vīrāne kā naam
hum se hi raushan raha hai tere maiKHane ka nam
hum hi le sakte nahin ab ek paimane ka nam
zinat-e-sad-anjuman hai aap ki maujudgi
hai qayamat aap ke mahfil se uTh jaane ka nam
dil ke bahlane pe duniya ne kiye hain wo suluk
ab na lenge bhul kar bhi dil ko bahlane ka nam
raat ki ranaiyan hain zulf-e-barham ke tufail
subh-e-sadiq aap ke aariz sanwar jaane ka nam
dar-haqiqat zindagi kya hai ye hum se puchhiye
maut se aankhen mila kar zahr pi jaane ka nam
toD kar is zindagi ke KHud-tarashida sanam
hum ne kaba rakh liya hai dil ke but-KHane ka nam
chappe-chappe par junun ne kar diye raushan charagh
warna 'shair' jaanta tha kaun virane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.