humse is dard ki tafsir kahan honi thi
ham se is dard kī tafsīr kahāñ honī thī
koī rāñjhā hī na thā hiir kahāñ honī thī
tū ki alfāz kī hurmat se nahīñ thā vāqif
phir tirī baat meñ tāsīr kahāñ honī thī
saath dete jo mirā mere qabīle vaale
tire hāthoñ meñ ye shamshīr kahāñ honī thī
ḳhud hī muñh moḌ liyā tum ne hamī se varna
tum bulāte to ye tāḳhīr kahāñ honī thī
tū ne ḳhud ahl-e-mohabbat meñ bharam khoyā hai
varna bastī meñ ye tash.hīr kahāñ honī thī
ye varaq dil kā tire baa'd to saada hī rahā
is pe phir koī bhī tahrīr kahāñ honī thī
ham ko bhī apnī anā jaan se pyārī thī bahut
hijr kī paañv meñ zanjīr kahāñ honī thī
hum se is dard ki tafsir kahan honi thi
koi ranjha hi na tha hir kahan honi thi
tu ki alfaz ki hurmat se nahin tha waqif
phir teri baat mein tasir kahan honi thi
sath dete jo mera mere qabile wale
tere hathon mein ye shamshir kahan honi thi
KHud hi munh moD liya tum ne hami se warna
tum bulate to ye taKHir kahan honi thi
tu ne KHud ahl-e-mohabbat mein bharam khoya hai
warna basti mein ye tashhir kahan honi thi
ye waraq dil ka tere ba'd to sada hi raha
is pe phir koi bhi tahrir kahan honi thi
hum ko bhi apni ana jaan se pyari thi bahut
hijr ki panw mein zanjir kahan honi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.