humse logon ka jahan bhar mein Thikana kya hai
ham se logoñ kā jahāñ bhar meñ Thikānā kyā hai
tum to sab jānte ho tum ko batānā kyā hai
jo diyā dekh ke bīnā.ī se mahrūm huā
aise kam-zarf ko sūraj kā dikhānā kyā hai
terī qismat jo ravāñ zindagī hāsil hai tujhe
tū nahīñ jāntā dhakke se chalānā kyā hai
hotī duurī to tire ġham ko manāte ham bhī
kaun sā hijr tirā ḳhvāb meñ aanā kyā hai
maiñ jo andāze lagāne meñ lagā huuñ kab se
kyā koī mujh ko batā.egā zamāna kyā hai
dasht meñ ret thī yā ishq kī daulat ‘sāhib’
ghar se nikle to samajh aa.ī kamānā kyā hai
hum se logon ka jahan bhar mein Thikana kya hai
tum to sab jaante ho tum ko batana kya hai
jo diya dekh ke binai se mahrum hua
aise kam-zarf ko suraj ka dikhana kya hai
teri qismat jo rawan zindagi hasil hai tujhe
tu nahin jaanta dhakke se chalana kya hai
hoti duri to tere gham ko manate hum bhi
kaun sa hijr tera KHwab mein aana kya hai
main jo andaze lagane mein laga hun kab se
kya koi mujh ko bataega zamana kya hai
dasht mein ret thi ya ishq ki daulat ‘sahib’
ghar se nikle to samajh aai kamana kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.