humse mat puchho ki ek wo chiz kya donon mein hai
ham se mat pūchho ki ik vo chiiz kyā donoñ meñ hai
jo milātā hai hameñ vo fāsla donoñ meñ hai
us ke milne kī ḳhushī ho yā bichhaḌ jaane kā ġham
hosh rahtā hī nahīñ aisā nasha donoñ meñ hai
us kī āñkheñ kaan haiñ aur merī āñkheñ bhī haiñ hoñT
apnī apnī kahne sunñe kī adā donoñ meñ hai
giit ke sāñche meñ Dhālūñ yā ġhazal ke ruup meñ
par tire hī naam kā ik qāfiya donoñ meñ hai
yuuñ kisī āvāz kā chehrā nahīñ hotā magar
jis meñ āvāzeñ dikheñ vo aa.ina donoñ meñ hai
is ko āstiktā kaho chāhe nāstiktā 'kuñvar'
donoñ ḳhat us ke hī haiñ us kā pata donoñ meñ hai
hum se mat puchho ki ek wo chiz kya donon mein hai
jo milata hai hamein wo fasla donon mein hai
us ke milne ki KHushi ho ya bichhaD jaane ka gham
hosh rahta hi nahin aisa nasha donon mein hai
us ki aankhen kan hain aur meri aankhen bhi hain honT
apni apni kahne sunne ki ada donon mein hai
git ke sanche mein Dhaalun ya ghazal ke rup mein
par tere hi nam ka ek qafiya donon mein hai
yun kisi aawaz ka chehra nahin hota magar
jis mein aawazen dikhen wo aaina donon mein hai
is ko aastikta kaho chahe nastikta 'kunwar'
donon KHat us ke hi hain us ka pata donon mein hai
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 40)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.