humse puchhe koi chahat ka saza ho jaana
ham se pūchhe koī chāhat kā sazā ho jaanā
narm guftār kā patthar kā ḳhudā ho jaanā
jab maiñ unvān-e-mohabbat pe koī nazm likhūñ
tum mahakte hue lafzoñ kī qabā ho jaanā
naam ḳhvāboñ kī salīboñ pe na likhiye merā
merī fitrat hai haqīqat pe fidā ho jaanā
maiñ ne puujā thā tumheñ dard-e-mohabbat ke sabab
tum se ye kis ne kahā thā ki ḳhudā ho jaanā
dasht-e-tūfāñ meñ agar merā safīna dekho
tum mirī maañ kī tarah mahv-e-duā ho jaanā
ab takalluf se koī kaam na lenā 'āmir'
jab vo tum se hoñ ḳhafā tum bhī ḳhafā ho jaanā
hum se puchhe koi chahat ka saza ho jaana
narm guftar ka patthar ka KHuda ho jaana
jab main unwan-e-mohabbat pe koi nazm likhun
tum mahakte hue lafzon ki qaba ho jaana
nam KHwabon ki salibon pe na likhiye mera
meri fitrat hai haqiqat pe fida ho jaana
main ne puja tha tumhein dard-e-mohabbat ke sabab
tum se ye kis ne kaha tha ki KHuda ho jaana
dasht-e-tufan mein agar mera safina dekho
tum meri man ki tarah mahw-e-dua ho jaana
ab takalluf se koi kaam na lena 'amir'
jab wo tum se hon KHafa tum bhi KHafa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.