humse rudad-e-mohabbat mein KHayanat na hui
ham se rūdād-e-mohabbat meñ ḳhayānat na huī
us se bichhḌe to kisī aur se ulfat na huī
dil meñ baste thā mere vo kabhī dhaḌkan kī tarah
baad is ke to mire dil ko mohabbat na huī
kis tarah sab ko batā.ūñ maiñ bichhaḌne kā sabab
zarb aisī milī mujh ko kabhī himmat na huī
us ko jaldī thī kisī aur se milne kī tabhī
aisā rūThā vo manāne kī bhī mohlat na huī
vahī shāmil hai mire ḳhūn-e-jigar meñ jis ko
mujh se milne kī dobāra kabhī chāhat na huī
jab talak thā vo mirī zaat meñ raushan 'kāshif'
merī āñkhoñ ko ujāle kī zarūrat na huī
hum se rudad-e-mohabbat mein KHayanat na hui
us se bichhDe to kisi aur se ulfat na hui
dil mein baste tha mere wo kabhi dhaDkan ki tarah
baad is ke to mere dil ko mohabbat na hui
kis tarah sab ko bataun main bichhaDne ka sabab
zarb aisi mili mujh ko kabhi himmat na hui
us ko jaldi thi kisi aur se milne ki tabhi
aisa ruTha wo manane ki bhi mohlat na hui
wahi shamil hai mere KHun-e-jigar mein jis ko
mujh se milne ki dobara kabhi chahat na hui
jab talak tha wo meri zat mein raushan 'kashif'
meri aankhon ko ujale ki zarurat na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.