humse ruTha hua hai muddat ka
ham se rūThā huā hai muddat kā
vo jo bichhḌā huā hai muddat kā
yād-e-jān-e-bahār kā dāman
dil ne thāmā huā hai muddat kā
ab to pahchān bhī na pā.eñge
un ko dekhā huā hai muddat kā
mehr-o-ulfat kā dil ke sahrā par
abr barsā huā hai muddat kā
dil-sarā.e meñ kārvāñ ġham kā
aa ke Thahrā huā hai muddat kā
apnī qismat kā mas.ala 'aḳhtar'
yūñhī uljhā huā hai muddat kā
hum se ruTha hua hai muddat ka
wo jo bichhDa hua hai muddat ka
yaad-e-jaan-e-bahaar ka daman
dil ne thama hua hai muddat ka
ab to pahchan bhi na paenge
un ko dekha hua hai muddat ka
mehr-o-ulfat ka dil ke sahra par
abr barsa hua hai muddat ka
dil-sarae mein karwan gham ka
aa ke Thahra hua hai muddat ka
apni qismat ka masala 'aKHtar'
yunhi uljha hua hai muddat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.