humse to koi dost banae nahin jate
ham se to koī dost banā.e nahīñ jaate
khoTe kabhī sikke to chalā.e nahīñ jaate
patthar se kabhī dil na lagā lenā ki patthar
shīshe ke makānoñ meñ sajā.e nahīñ jaate
us ne mujhe ye kahte hue chhoḌ diyā thā
patthar pe kabhī phuul khilā.e nahīñ jaate
ġhazloñ ke parastār ko tum ġhazleñ dikhāo
andhoñ ko ye ā.īne dikhā.e nahīñ jaate
kuchh log to sūraj bhī chhupāne meñ lage haiñ
ham se to diye koī bujhā.e nahīñ jaate
kab rāz-e-mohabbat vo chhupā pā.eñge dil meñ
ḳhat jin se kitāboñ meñ chhupā.e nahīñ jaate
karte haiñ jahāzoñ ko uḌāne ke vo dā've
jin se ye parinde bhī uḌaa.e nahīñ jaate
har raaz batā sakte haiñ duniyā ko magar 'dil'
kuchh raaz haiñ aise jo batā.e nahīñ jaate
hum se to koi dost banae nahin jate
khoTe kabhi sikke to chalae nahin jate
patthar se kabhi dil na laga lena ki patthar
shishe ke makanon mein sajae nahin jate
us ne mujhe ye kahte hue chhoD diya tha
patthar pe kabhi phul khilae nahin jate
ghazlon ke parastar ko tum ghazlen dikhao
andhon ko ye aaine dikhae nahin jate
kuchh log to suraj bhi chhupane mein lage hain
hum se to diye koi bujhae nahin jate
kab raaz-e-mohabbat wo chhupa paenge dil mein
KHat jin se kitabon mein chhupae nahin jate
karte hain jahazon ko uDane ke wo da'we
jin se ye parinde bhi uDae nahin jate
har raaz bata sakte hain duniya ko magar 'dil'
kuchh raaz hain aise jo batae nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.