humse warafta ulfat hain bahut kam paida
humse warafta ulfat hain bahut kam paida
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
ham se vārafta ulfat haiñ bahut kam paidā
haath se kho na hameñ hoñge na phir ham paidā
iltiyām is kā jo hai lutf-e-butāñ par mauqūf
zaḳhm-e-dil kā mire hotā nahīñ marham paidā
bad na kah bad ko ki sannā-e-bad-o-nek hai ek
ḳhār-o-gul hote haiñ ik shāḳh se bāham paidā
nahīñ abrū tire ruḳhsār ke sajde ke liye
aks-e-añgusht-e-shahādat ne kiyā ḳham paidā
maiñ bhī huuñ bā.is-e-ījād 'havas' ik shai kā
merī ḳhātir mire ḳhāliq ne kiyā ġham paidā
hum se warafta ulfat hain bahut kam paida
hath se kho na hamein honge na phir hum paida
iltiyam is ka jo hai lutf-e-butan par mauquf
zaKHm-e-dil ka mere hota nahin marham paida
bad na kah bad ko ki sanna-e-bad-o-nek hai ek
KHar-o-gul hote hain ek shaKH se baham paida
nahin abru tere ruKHsar ke sajde ke liye
aks-e-angusht-e-shahadat ne kiya KHam paida
main bhi hun bais-e-ijad 'hawas' ek shai ka
meri KHatir mere KHaliq ne kiya gham paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.