humse zara charaghon ka jo man ho gaya
ham se zarā charāġhoñ kā jo maan ho gayā
yā'nī añdherī raat kā nuqsān ho gayā
hote nahīñ haiñ paañv kabhī jhuuT ke magar
itnā chalā ki jhuuT pareshān ho gayā
tū ne nahīñ bikhere kabhī rāstoñ meñ ḳhaar
phir bhī ḳhasāra 'ishq ke daurān ho gayā
māneñge us kī baat ko mahkūm kī tarah
hākim hamāre vāste bhagvān ho gayā
maiñ ḳhud meñ kho gayā tirī tasvīr dekh kar
puujā ke saath saath mirā dhyān ho gayā
kartā nahīñ madad koī ik dūsre kī ab
kaisā ye āj-kal dil-e-insān ho gayā
utre nahīñ chaman meñ mirī chāhatoñ ke phuul
dil kā ye baaġh merā bayābān ho gayā
yā-rab utaar mujh meñ vahī āgahī kā peḌ
gautam ko jis ke nīche sahaj gyaan ho gayā
shahr-e-suḳhan kī tohmateñ kitnī 'ajīb haiñ
'anvar' ġhazal ko kah ke musalmān ho gayā
hum se zara charaghon ka jo man ho gaya
ya'ni andheri raat ka nuqsan ho gaya
hote nahin hain panw kabhi jhuT ke magar
itna chala ki jhuT pareshan ho gaya
tu ne nahin bikhere kabhi raston mein KHar
phir bhi KHasara 'ishq ke dauran ho gaya
manenge us ki baat ko mahkum ki tarah
hakim hamare waste bhagwan ho gaya
main KHud mein kho gaya teri taswir dekh kar
puja ke sath sath mera dhyan ho gaya
karta nahin madad koi ek dusre ki ab
kaisa ye aaj-kal dil-e-insan ho gaya
utre nahin chaman mein meri chahaton ke phul
dil ka ye bagh mera bayaban ho gaya
ya-rab utar mujh mein wahi aagahi ka peD
gautam ko jis ke niche sahaj gyan ho gaya
shahr-e-suKHan ki tohmaten kitni 'ajib hain
'anwar' ghazal ko kah ke musalman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.