Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum shahr-e-nutq ke the wahin ke nahin rahe

Ehtisham ul Haq Siddiqui

hum shahr-e-nutq ke the wahin ke nahin rahe

Ehtisham ul Haq Siddiqui

MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui

    ham shahr-e-nutq ke the vahīñ ke nahīñ rahe

    vo chup lagī hameñ ki kahīñ ke nahīñ rahe

    ham ḳhvāb dekhte the bahut āsmān ke

    āḳhir meñ ye huā ki zamīñ ke nahīñ rahe

    ham meñ the jaane kaun se kāñTe uge hue

    sab ke rahe haiñ aap hamīñ ke nahīñ rahe

    dil ko jhukā ke dil se adā kar diye ga.e

    sajde rahīn sirf jabīñ ke nahīñ rahe

    do-chār log mere hoñ mere liye bahut

    sau fīsadī to arsh-nashīñ ke nahīñ rahe

    hum shahr-e-nutq ke the wahin ke nahin rahe

    wo chup lagi hamein ki kahin ke nahin rahe

    hum KHwab dekhte the bahut aasman ke

    aaKHir mein ye hua ki zamin ke nahin rahe

    hum mein the jaane kaun se kanTe uge hue

    sab ke rahe hain aap hamin ke nahin rahe

    dil ko jhuka ke dil se ada kar diye gae

    sajde rahin sirf jabin ke nahin rahe

    do-chaar log mere hon mere liye bahut

    sau fisadi to arsh-nashin ke nahin rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now