hum shukr-e-jafa shukr-e-sitam karte rahenge
ham shukr-e-jafā shukr-e-sitam karte raheñge
ye jaan ye dil nazr-e-sanam karte raheñge
jin ko tirī āñkhoñ kī haqīqat nahīñ mā'lūm
vo hasrat-e-paimāna-e-jam karte raheñge
vo parvarish-e-lauh-o-qalam meñ raheñ masrūf
ham tarbiyat-e-lauh-o-qalam karte raheñge
hogā na koī qāfila āvāra-e-manzil
ye kaam mire naqsh-e-qadam karte raheñge
ḳhuddārī-e-jamhūr ko niiñd aa.ī huī hai
ham shikva-e-arbāb-e-qalam karte raheñge
har shāḳh-e-gulistāñ pe banā.ūñgā nasheman
har shāḳh kahāñ tak vo qalam karte raheñge
'jarrār' taḌapne meñ 'ajab lutf milā hai
hañs hañs ke vo kyā pursish-e-ġham karte raheñge
hum shukr-e-jafa shukr-e-sitam karte rahenge
ye jaan ye dil nazr-e-sanam karte rahenge
jin ko teri aankhon ki haqiqat nahin ma'lum
wo hasrat-e-paimana-e-jam karte rahenge
wo parwarish-e-lauh-o-qalam mein rahen masruf
hum tarbiyat-e-lauh-o-qalam karte rahenge
hoga na koi qafila aawara-e-manzil
ye kaam mere naqsh-e-qadam karte rahenge
KHuddari-e-jamhur ko nind aai hui hai
hum shikwa-e-arbab-e-qalam karte rahenge
har shaKH-e-gulistan pe banaunga nasheman
har shaKH kahan tak wo qalam karte rahenge
'jarrar' taDapne mein 'ajab lutf mila hai
hans hans ke wo kya pursish-e-gham karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.