hum sitaron mein tera aks na Dhalne denge
ham sitāroñ meñ tirā aks nā Dhalne deñge
chāñd ko shaam kī dahlīz pe jalne deñge
aaj chhū leñge koī arsh mire vahm-o-gumāñ
ḳhvāb ko niiñd kī āñkhoñ meñ machalne deñge
ham bhī dekheñge kahāñ tak hai rasā.ī apnī
dil ko bahlā.eñge ham aur nā sambhalne deñge
shab kī āġhosh meñ phaileñ na gumāñ ke saa.e
ab nigāhoñ meñ koī ḳhauf nā palne deñge
ho na jaa.e kahīñ anjām se pahle anjām
is kahānī ko isī taur se chalne deñge
aks-dar-aks mileñge tujhe manzar manzar
tū jo chāhe bhī kahāñ tujh ko badalne deñge
naqsh-dar-naqsh hue jā.eñge bas ḳhaak yahīñ
ḳhuud ko is dasht-e-gumāñ se nā nikalne deñge
hum sitaron mein tera aks na Dhalne denge
chand ko sham ki dahliz pe jalne denge
aaj chhu lenge koi arsh mere wahm-o-guman
KHwab ko nind ki aankhon mein machalne denge
hum bhi dekhenge kahan tak hai rasai apni
dil ko bahlaenge hum aur na sambhalne denge
shab ki aaghosh mein phailen na guman ke sae
ab nigahon mein koi KHauf na palne denge
ho na jae kahin anjam se pahle anjam
is kahani ko isi taur se chalne denge
aks-dar-aks milenge tujhe manzar manzar
tu jo chahe bhi kahan tujh ko badalne denge
naqsh-dar-naqsh hue jaenge bas KHak yahin
KHud ko is dasht-e-guman se na nikalne denge
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 135)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.