hum siyah-baKHton ko suli par chaDhana aur hai
hum siyah-baKHton ko suli par chaDhana aur hai
Meer Ali Ausat Rashk
MORE BYMeer Ali Ausat Rashk
ham siyah-baḳhtoñ ko suulī par chaḌhānā aur hai
dār-e-īsā aur hai zulf-e-chalīpā aur hai
ḳhud-baḳhud qurbān hone ke liye jaate haiñ log
rāh-e-maqtal aur hai ka.abe kā rastā aur hai
kis ne dekhā hai ḳhudā ko dekhte haiñ tum ko sab
tūr-e-mūsā aur hai koThā tumhārā aur hai
nāma-e-jānāñ hai yā likkhā mirī taqdīr kā
ḳhat kī inshā aur hai likhne kī imlā aur hai
aa.ina ā.īna-e-āriz ko pahuñche muñh kahāñ
aks denā aur hai hairān karnā aur hai
dil kahāñ ai 'rashk' dast-e-kotah-e-vahshat kahāñ
merā sahrā aur hai majnūñ kā sahrā aur hai
hum siyah-baKHton ko suli par chaDhana aur hai
dar-e-isa aur hai zulf-e-chalipa aur hai
KHud-baKHud qurban hone ke liye jate hain log
rah-e-maqtal aur hai kabe ka rasta aur hai
kis ne dekha hai KHuda ko dekhte hain tum ko sab
tur-e-musa aur hai koTha tumhaara aur hai
nama-e-jaanan hai ya likkha meri taqdir ka
KHat ki insha aur hai likhne ki imla aur hai
aaina aaina-e-ariz ko pahunche munh kahan
aks dena aur hai hairan karna aur hai
dil kahan ai 'rashk' dast-e-kotah-e-wahshat kahan
mera sahra aur hai majnun ka sahra aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.