hum soch rahe the un ko abhi wo parda uTha kar aa bhi gae
hum soch rahe the un ko abhi wo parda uTha kar aa bhi gae
Suhail Kakorvi
MORE BYSuhail Kakorvi
ham soch rahe the un ko abhī vo parda uThā kar aa bhī ga.e
vo phuul mohabbat ke ham par az-rāh-e-karam barsā bhī ga.e
aa.e the ilāj-e-dil karne fitrat ke mutābiq kaam kiyā
kuchh aur baḌhāyā dard mirā vo aur mujhe taḌpā bhī ga.e
ummīd dilā.ī saaqī ne aa.egī ghaTā to dekheñge
qismat ne hamārā saath diyā be-mausam bādal chhā bhī ga.e
kuchh naam liye kuchh dard kahe ruḳhsat hue le kar merā sukūñ
afsāne sunā.e mujh ko na.e vo aag na.ī bhaḌkā bhī ga.e
qurbat meñ bahut se imkāñ haiñ ye baat samajh meñ aa.ī hameñ
hālāt se vo majbūr hue hālāt se dhokā khā bhī ga.e
maiñ ne to 'suhail' apne dil kī mauhūm tamannā zāhir kī
ruḳhsār pe bijlī sī chamkī is baat pe vo iThlā bhī ga.e
hum soch rahe the un ko abhi wo parda uTha kar aa bhi gae
wo phul mohabbat ke hum par az-rah-e-karam barsa bhi gae
aae the ilaj-e-dil karne fitrat ke mutabiq kaam kiya
kuchh aur baDhaya dard mera wo aur mujhe taDpa bhi gae
ummid dilai saqi ne aaegi ghaTa to dekhenge
qismat ne hamara sath diya be-mausam baadal chha bhi gae
kuchh nam liye kuchh dard kahe ruKHsat hue le kar mera sukun
afsane sunae mujh ko nae wo aag nai bhaDka bhi gae
qurbat mein bahut se imkan hain ye baat samajh mein aai hamein
haalat se wo majbur hue haalat se dhoka kha bhi gae
main ne to 'suhail' apne dil ki mauhum tamanna zahir ki
ruKHsar pe bijli si chamki is baat pe wo iThla bhi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.