hum suKHan-go ek din sab raegan rah jaenge
ham suḳhan-go ek din sab rā.egāñ rah jā.eñge
bas hamāre harf haiñ jo jāvedāñ rah jā.eñge
saa.e tak jismoñ ke vo le jā.egā de kar sadā
dhuup meñ tanhā jhulaste sā.ebāñ rah jā.eñge
vo hasīñ bāñheñ hamāre jism ko Thukrā na deñ
yuuñ huā to kis qadar ham be-amāñ rah jā.eñge
tum mohabbat meñ anāḌī ho isī se dekh lo
jaise tum ne mujh ko chūmā hai nishāñ rah jā.eñge
maiñ samundar kī ra'ūnat chhīn luuñ us se agar
har taraf phaile hue koh-e-girāñ rah jā.eñge
vaqt aa baiThegā is meñ aur āḳhir par yahāñ
naav rah jā.egī TuuTe bādbāñ rah jā.eñge
shāhzādī 'ishq kar baiThegī dushman se 'muqīm'
mere hāthoñ meñ faqat tīr-o-kamāñ rah jā.eñge
hum suKHan-go ek din sab raegan rah jaenge
bas hamare harf hain jo jawedan rah jaenge
sae tak jismon ke wo le jaega de kar sada
dhup mein tanha jhulaste saeban rah jaenge
wo hasin banhen hamare jism ko Thukra na den
yun hua to kis qadar hum be-aman rah jaenge
tum mohabbat mein anaDi ho isi se dekh lo
jaise tum ne mujh ko chuma hai nishan rah jaenge
main samundar ki ra'unat chhin lun us se agar
har taraf phaile hue koh-e-giran rah jaenge
waqt aa baiThega is mein aur aaKHir par yahan
naw rah jaegi TuTe baadban rah jaenge
shahzadi 'ishq kar baiThegi dushman se 'muqim'
mere hathon mein faqat tir-o-kaman rah jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.