hum sunaenge tujhe apna fasana ek din
ham sunā.eñge tujhe apnā fasāna ek din
yuuñ nahīñ ai zindagī fursat meñ aanā ek din
baat lambī vaqt thoḌā aañkh nam hai aap kī
is tarah bhī kyā ḳhabar thī hogā jaanā ek din
baat aa.ī hai zabāñ pe arz kar duuñ jo kaho
ham ne chāhā thā tumheñ apnā banānā ek din
rah na jaa.e koī hasrat kar guzar jo tujh se ho
varna is andhe kueñ meñ sab ko jaanā ek din
ho sakā na kuchh bhī ham se ai vatan kar de muaaf
ham ne chāhā thā tujhe jannat banānā ek din
sau tahoñ meñ qaid hai ab har ḳhushī insān kī
sau tahoñ ko chiir kar hai paar jaanā ek din
baat apnī ġham purāne aur terī dāstāñ
sun zamāne kuchh hameñ bhī thā sunānā ek din
in phuhāroñ se na TūTeñgī ye chaTTāneñ 'salīl'
le ke tum ko bijliyāñ ab hogā aanā ek din
hum sunaenge tujhe apna fasana ek din
yun nahin ai zindagi fursat mein aana ek din
baat lambi waqt thoDa aankh nam hai aap ki
is tarah bhi kya KHabar thi hoga jaana ek din
baat aai hai zaban pe arz kar dun jo kaho
hum ne chaha tha tumhein apna banana ek din
rah na jae koi hasrat kar guzar jo tujh se ho
warna is andhe kuen mein sab ko jaana ek din
ho saka na kuchh bhi hum se ai watan kar de muaf
hum ne chaha tha tujhe jannat banana ek din
sau tahon mein qaid hai ab har KHushi insan ki
sau tahon ko chir kar hai par jaana ek din
baat apni gham purane aur teri dastan
sun zamane kuchh hamein bhi tha sunana ek din
in phuhaaron se na TuTengi ye chaTTanen 'salil'
le ke tum ko bijliyan ab hoga aana ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.