hum taza-bahaaron ka paigham tumhein denge
ham tāza-bahāroñ kā paiġhām tumheñ deñge
kuchh ḳhvāb bhī chun chun kar har shaam tumheñ deñge
jo ghūmte phirte haiñ ḳhush-rang libāsoñ meñ
ḳhud jurm kareñge aur ilzām tumheñ deñge
ik azm-e-safar hai shart aur kufr hai māyūsī
peḌoñ ke ghane saa.e ārām tumheñ deñge
dhartī pe ubharne kā tum azm karo pahle
ham chāñd sitāroñ kā in.aam tumheñ deñge
uljhan meñ paḌe kyoñ ho tum apnī kahānī kā
āġhāz sunāo to anjām tumheñ deñge
ik dhuup mire muñh par kyā pheñkī hai zālim ne
va.ada thā ki nazzāre har gaam tumheñ deñge
haañ jazba-e-īmāñ kī tasdīq to ho pahle
va.ada hai ki kausar kā ik jaam tumheñ deñge
aaya hai parakhne kā phir vaqt 'jamāl' ik baar
auroñ se na hotā ho vo kaam tumheñ deñge
hum taza-bahaaron ka paigham tumhein denge
kuchh KHwab bhi chun chun kar har sham tumhein denge
jo ghumte phirte hain KHush-rang libason mein
KHud jurm karenge aur ilzam tumhein denge
ek azm-e-safar hai shart aur kufr hai mayusi
peDon ke ghane sae aaram tumhein denge
dharti pe ubharne ka tum azm karo pahle
hum chand sitaron ka inam tumhein denge
uljhan mein paDe kyon ho tum apni kahani ka
aaghaz sunao to anjam tumhein denge
ek dhup mere munh par kya phenki hai zalim ne
wada tha ki nazzare har gam tumhein denge
han jazba-e-iman ki tasdiq to ho pahle
wada hai ki kausar ka ek jam tumhein denge
aaya hai parakhne ka phir waqt 'jamal' ek bar
auron se na hota ho wo kaam tumhein denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.