hum tah-e-dariya tilismi bastiyan ginte rahe
ham tah-e-dariyā tilismī bastiyāñ ginte rahe
aur sāhil par machhere machhliyāñ ginte rahe
nā-tavāñ shānoñ pe aisī ḳhāmushī kā bojh thā
apne us ke darmiyāñ bhī sīḌhiyāñ ginte rahe
bazm-e-jāñ se chupke chupke ḳhvāb sab ruḳhsat hue
ham bhalā karte bhī kyā bas gintiyāñ ginte rahe
baañs ke jañgal se ho ke jab kabhī guzrī havā
ik sadā-e-gumshuda kī dhajjiyāñ ginte rahe
kis havā ne Das liyā hai rañg o roġhan uḌ ga.e
sehn-e-dil se is makāñ kī khiḌkiyāñ ginte rahe
pahlu-e-shab kal isī chehre se raushan thā magar
jaane kitne mausamoñ kī talḳhiyāñ ginte rahe
hum tah-e-dariya tilismi bastiyan ginte rahe
aur sahil par machhere machhliyan ginte rahe
na-tawan shanon pe aisi KHamushi ka bojh tha
apne us ke darmiyan bhi siDhiyan ginte rahe
bazm-e-jaan se chupke chupke KHwab sab ruKHsat hue
hum bhala karte bhi kya bas gintiyan ginte rahe
bans ke jangal se ho ke jab kabhi guzri hawa
ek sada-e-gumshuda ki dhajjiyan ginte rahe
kis hawa ne Das liya hai rang o roghan uD gae
sehn-e-dil se is makan ki khiDkiyan ginte rahe
pahlu-e-shab kal isi chehre se raushan tha magar
jaane kitne mausamon ki talKHiyan ginte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.