hum tashaKHKHus kho rahe hain zat ki tashhir mein
ham tashaḳhḳhus kho rahe haiñ zaat kī tash.hīr meñ
ḳhud bikharte jā rahe haiñ koshish-e-tāmīr meñ
ye bhī socheñ kaash 'izzat kyā hai aur zillat hai kyā
vo jo rusvā ho rahe haiñ hasrat-e-tauqīr meñ
aaj naḳhl-e-maslahat kī chhāñv meñ hai mahv-e-ḳhvāb
parvarish jis kī huī thī sāya-e-shamshīr meñ
ai suḳhanvar tum jo kahte ho vo kyuuñ karte nahīñ
kyuuñ ham-āhañgī nahīñ kirdār aur tahrīr meñ
us kī sub.heñ dil-kushā haiñ us kī shāmeñ jāñ-fizā
kho gayā jo shaḳhs lutf-e-nāla-e-shab-gīr meñ
ho 'atā jis shaḳhs ko nūr-e-basīrat ai 'jalāl'
dekh letā hai musavvir ko bhī vo tasvīr meñ
hum tashaKHKHus kho rahe hain zat ki tashhir mein
KHud bikharte ja rahe hain koshish-e-tamir mein
ye bhi sochen kash 'izzat kya hai aur zillat hai kya
wo jo ruswa ho rahe hain hasrat-e-tauqir mein
aaj naKHl-e-maslahat ki chhanw mein hai mahw-e-KHwab
parwarish jis ki hui thi saya-e-shamshir mein
ai suKHanwar tum jo kahte ho wo kyun karte nahin
kyun ham-ahangi nahin kirdar aur tahrir mein
us ki subhen dil-kusha hain us ki shamen jaan-fiza
kho gaya jo shaKHs lutf-e-nala-e-shab-gir mein
ho 'ata jis shaKHs ko nur-e-basirat ai 'jalal'
dekh leta hai musawwir ko bhi wo taswir mein
- Book : Urdu Adab (Pg. 54)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.