hum Thaharne ke nahin umr-e-rawan rakhte hain
ham Thaharne ke nahīñ umr-e-ravāñ rakhte haiñ
vo zamīñ ghūmtī hai paañv jahāñ rakhte haiñ
dekhte sab haiñ magar band zabāñ rakhte haiñ
is tarah shahr meñ ham amn-o-amāñ rakhte haiñ
dil laraztā hai to Darte haiñ kahīñ TuuT na jaa.e
shāḳh par ek hī to barg-e-ḳhizāñ rakhte haiñ
DhūñD letā hai har ek shaḳhs hameñ ham shāyad
apne hone kā kahīñ koī nishāñ rakhte haiñ
kyuuñ nahīñ ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah jī lete
rehn rakhne ke liye ham bhī makāñ rakhte haiñ
bhuul jā paḌh ke purānoñ kī purānī bāteñ
ab vo sarmāya na.e log kahāñ rakhte haiñ
ishq kī ibtidā aur intihā ham se pūchho
phuul ko chuum ke kāñToñ pe zabāñ rakhte haiñ
hum Thaharne ke nahin umr-e-rawan rakhte hain
wo zamin ghumti hai panw jahan rakhte hain
dekhte sab hain magar band zaban rakhte hain
is tarah shahr mein hum amn-o-aman rakhte hain
dil larazta hai to Darte hain kahin TuT na jae
shaKH par ek hi to barg-e-KHizan rakhte hain
DhunD leta hai har ek shaKHs hamein hum shayad
apne hone ka kahin koi nishan rakhte hain
kyun nahin KHana-ba-doshon ki tarah ji lete
rehn rakhne ke liye hum bhi makan rakhte hain
bhul ja paDh ke puranon ki purani baaten
ab wo sarmaya nae log kahan rakhte hain
ishq ki ibtida aur intiha hum se puchho
phul ko chum ke kanTon pe zaban rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.