hum Thahre barbaad-e-mohabbat aalam sara jaane hai
hum Thahre barbaad-e-mohabbat aalam sara jaane hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
ham Thahre barbād-e-mohabbat aalam saarā jaane hai
dil pe hamāre kyā guzre hai dil hī hamārā jaane hai
ai sāhil se dekhne vaalo tum ko ye ma.alūm nahīñ
Dūbne vaalā kyoñ tinke ko apnā sahārā jaane hai
tum kyā jaano ishq-e-butāñ ko tum ne ishq kiyā kab hai
un kī adā-e-jaur-o-sitam ko dard kā maarā jaane hai
ham bhī haqīqat jaan rahe haiñ baiThe baiThe ḳhvāboñ kī
vo hai nazar kā dhokā jis ko dil ye nazārā jaane hai
galiyoñ galiyoñ phirtā hai jo dil meñ tumhārī yaad liye
duniyā us ko pāgal samjhe aur bechāra jaane hai
aap ise samjheñ na samjheñ ham ko hai ma.alūm 'majīd'
koī to hai jo ham ko abhī tak aañkh kā taarā jaane hai
hum Thahre barbaad-e-mohabbat aalam sara jaane hai
dil pe hamare kya guzre hai dil hi hamara jaane hai
ai sahil se dekhne walo tum ko ye malum nahin
Dubne wala kyon tinke ko apna sahaara jaane hai
tum kya jaano ishq-e-butan ko tum ne ishq kiya kab hai
un ki ada-e-jaur-o-sitam ko dard ka mara jaane hai
hum bhi haqiqat jaan rahe hain baiThe baiThe KHwabon ki
wo hai nazar ka dhoka jis ko dil ye nazara jaane hai
galiyon galiyon phirta hai jo dil mein tumhaari yaad liye
duniya us ko pagal samjhe aur bechaara jaane hai
aap ise samjhen na samjhen hum ko hai malum 'majid'
koi to hai jo hum ko abhi tak aankh ka tara jaane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.