hum thak chuke the aap ke jhuTe jahan mein
ham thak chuke the aap ke jhūTe jahān meñ
to so rahe haiñ chain se apne makān meñ
murjhā.e se jo rahte the shādāb ho ga.e
titlī ne jaane kyā kahā phūloñ ke kaan meñ
juuhī gulāb champā chamelī bhī hai magar
rutba tumhārā ūñchā hai is ḳhāndān meñ
koī suḳhan-shanās inheñ bhī ḳharīd le
kuchh sher Taañg rakkhe haiñ apnī dukān meñ
apne hasīñ laboñ se vo yuuñ boltā hai jhuuT
jaise ki zahr de rahā ho mīThe paan meñ
lahje meñ in ke vaisī mahak aatī hī nahīñ
ye phuul laakh bol leñ terī zabān meñ
hum thak chuke the aap ke jhuTe jahan mein
to so rahe hain chain se apne makan mein
murjhae se jo rahte the shadab ho gae
titli ne jaane kya kaha phulon ke kan mein
juhi gulab champa chameli bhi hai magar
rutba tumhaara uncha hai is KHandan mein
koi suKHan-shanas inhen bhi KHarid le
kuchh sher Tang rakkhe hain apni dukan mein
apne hasin labon se wo yun bolta hai jhuT
jaise ki zahr de raha ho miThe pan mein
lahje mein in ke waisi mahak aati hi nahin
ye phul lakh bol len teri zaban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.