hum tere hone se logon pe ayan hote hain
ham tire hone se logoñ pe ayaañ hote haiñ
phuul ḳhushbū ke tavassut se bayāñ hote haiñ
in charāġhoñ se añdherā hī baḌhā hai ghar kā
tere tohfe bhī aziyyat kā dhuāñ hote haiñ
aise afsurda tabī.at haiñ ki hañste hue ham
kitnī sadiyoñ kī udāsī kā nishāñ hote haiñ
ishq meñ zillat-o-rusvā.ī bhī hotī hai magar
pahle is dasht meñ ḳhvāboñ ke jahāñ hote haiñ
ham jinheñ ishq ne tanhā.ī kā tohfa diyā ho
un ke ghar-bār nahīñ hote makāñ hote haiñ
ahd-e-kam-zarf meñ tū ḳhvāb liye phirtā hai
peḌ aise meñ samar-bār kahāñ hote haiñ
hum tere hone se logon pe ayan hote hain
phul KHushbu ke tawassut se bayan hote hain
in charaghon se andhera hi baDha hai ghar ka
tere tohfe bhi aziyyat ka dhuan hote hain
aise afsurda tabiat hain ki hanste hue hum
kitni sadiyon ki udasi ka nishan hote hain
ishq mein zillat-o-ruswai bhi hoti hai magar
pahle is dasht mein KHwabon ke jahan hote hain
hum jinhen ishq ne tanhai ka tohfa diya ho
un ke ghar-bar nahin hote makan hote hain
ahd-e-kam-zarf mein tu KHwab liye phirta hai
peD aise mein samar-bar kahan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.