hum to daim safar mein rahte hain
ham to daa.im safar meñ rahte haiñ
dar-ba-dar apne ghar meñ rahte haiñ
jaise jalte hue makāñ ke makīñ
yuuñ kisī kī nazar meñ rahte haiñ
mehr-o-mah āsmān meñ DhūñDeñ
aur vo bām-o-dar meñ rahte haiñ
ham ko in pattharoñ se nisbat hai
jo tirī rah-guzar meñ rahte haiñ
jhuuT terī bulandiyāñ haiñ falak
āsmāñ bāl-o-par meñ rahte haiñ
ghar kī vīrāniyāñ baḌhīñ 'zarra'
āj-kal ham jo ghar meñ rahte haiñ
hum to daim safar mein rahte hain
dar-ba-dar apne ghar mein rahte hain
jaise jalte hue makan ke makin
yun kisi ki nazar mein rahte hain
mehr-o-mah aasman mein DhunDen
aur wo baam-o-dar mein rahte hain
hum ko in pattharon se nisbat hai
jo teri rah-guzar mein rahte hain
jhuT teri bulandiyan hain falak
aasman baal-o-par mein rahte hain
ghar ki viraniyan baDhin 'zarra'
aaj-kal hum jo ghar mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.