hum to har gham ko jahan ke gham-e-jaanan samjhe
hum to har gham ko jahan ke gham-e-jaanan samjhe
Vishnu Kumar Shauq
MORE BYVishnu Kumar Shauq
ham to har ġham ko jahāñ ke ġham-e-jānāñ samjhe
jab baḌhā nashsha to ham bāda-e-irfāñ samjhe
jo bahāroñ ko sahar-kārī-e-daurāñ samjhe
zindagānī ko vahī ḳhvāb-e-pareshāñ samjhe
fikr-e-ījād-e-sitam meñ vo jhukā.e the jabīñ
ham unheñ apnī jafāoñ pe pashemāñ samjhe
khā gayā ek jahāñ mere tabassum kā fareb
jo mirī tarah pareshāñ the pareshāñ samjhe
ham ne shikva na kiyā 'shauq' kisī se ġham kā
apnī taqdīr ko apne se gurezāñ samjhe
hum to har gham ko jahan ke gham-e-jaanan samjhe
jab baDha nashsha to hum baada-e-irfan samjhe
jo bahaaron ko sahar-kari-e-dauran samjhe
zindagani ko wahi KHwab-e-pareshan samjhe
fikr-e-ijad-e-sitam mein wo jhukae the jabin
hum unhen apni jafaon pe pasheman samjhe
kha gaya ek jahan mere tabassum ka fareb
jo meri tarah pareshan the pareshan samjhe
hum ne shikwa na kiya 'shauq' kisi se gham ka
apni taqdir ko apne se gurezan samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.