hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain
ham to karbal ko hī bas dār-e-baqā kahte haiñ
us kī miTTī ko suno ḳhāk-e-shifā kahte haiñ
ye to bas mujh se hī ho jaatī hai ġhaflat aksar
jo bhī kahte haiñ baḌe mere bajā kahte haiñ
pheñkī lakḌī to kabhī rasta kabhī saañp banā
us ko lakḌī nahīñ muusā kā asā kahte haiñ
maiñ sazā lafz kī tārīf batātā huuñ suno
muntazir hone ko bhī jaan sazā kahte haiñ
bhuuk marte hue bachchoñ ko jo khānā lā de
us masīhā ko hī farzand-e-ḳhudā kahte haiñ
kitne saada haiñ makīñ yaar tirī bastī ke
zahr ke jaam ko bhī āb-e-baqā kahte haiñ
shams tabrez se apnī hai aqīdat itnī
ham qalandar ko tabhī shams-numā kahte haiñ
jo tirī yaad meñ har raat bapā hotī hai
aisī mahfil ko 'sahar' bazm-e-azā kahte haiñ
hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain
us ki miTTi ko suno KHak-e-shifa kahte hain
ye to bas mujh se hi ho jati hai ghaflat aksar
jo bhi kahte hain baDe mere baja kahte hain
phenki lakDi to kabhi rasta kabhi sanp bana
us ko lakDi nahin musa ka asa kahte hain
main saza lafz ki tarif batata hun suno
muntazir hone ko bhi jaan saza kahte hain
bhuk marte hue bachchon ko jo khana la de
us masiha ko hi farzand-e-KHuda kahte hain
kitne sada hain makin yar teri basti ke
zahr ke jam ko bhi aab-e-baqa kahte hain
shams tabrez se apni hai aqidat itni
hum qalandar ko tabhi shams-numa kahte hain
jo teri yaad mein har raat bapa hoti hai
aisi mahfil ko 'sahar' bazm-e-aza kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.