hum to lauT aaen magar dasht sabab puchhta hai
ham to lauT aa.eñ magar dasht sabab pūchhtā hai
jāñ-dahī chhoḌ ke ghar-bār se lag jaane kā
taab is ishq na us ishq pe mar miTne kī
dil ki har yār-e-tarah-dār se lag jaane kā
sar kashīda liye phirte haiñ ki shāyad mil jaa.e
ek mauqa tirī talvār se lag jaane kā
ek putlī nahīñ phirne kī mire marne se
ek shāna nahīñ dīvār se lag jaane kā
sāñvlī rut ko na dekho ki ye tarsī huī shaam
ik bahāna hai gale yaar se lag jaane kā
hum to lauT aaen magar dasht sabab puchhta hai
jaan-dahi chhoD ke ghar-bar se lag jaane ka
tab is ishq na us ishq pe mar miTne ki
dil ki har yar-e-tarah-dar se lag jaane ka
sar kashida liye phirte hain ki shayad mil jae
ek mauqa teri talwar se lag jaane ka
ek putli nahin phirne ki mere marne se
ek shana nahin diwar se lag jaane ka
sanwli rut ko na dekho ki ye tarsi hui sham
ek bahana hai gale yar se lag jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.