hum to na jaenge dar-e-jaanana chhoD kar
hum to na jaenge dar-e-jaanana chhoD kar
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
ham to na jā.eñge dar-e-jānāna chhoḌ kar
jaatā hai barhaman kahīñ but-ḳhāna chhoḌ kar
nibhtī hai taubā ḳhauf shamātat se varna dil
pachtā rahā hai mashrab-e-rindāna chhoḌ kar
bole vo qissa-ḳhvāñ se merī dāstān par
kuchh aur zikr chheḌ ye afsāna chhoḌ kar
jannat kī aarzū meñ rahe kaun hashr tak
vaa.iz ye aish-o-ishrat-e-mai-ḳhāna chhoḌ kar
jānāñ kahāñ yagāna samajhtā agar mujhe
begāne ko gayā dil-e-begāna chhoḌ kar
ai sail-e-ashk tū ho jahāñ koī ghar kahāñ
apnā guzar kahīñ nahīñ vīrāna chhoḌ kar
aa.e jo pesh mai-kada do-chār mo'taqid
bhāgā hai shaiḳh subha-e-sad chhoḌ kar
dīvāna huuñ to chāhe tanhā nā rahne do
jaate ho tum kahāñ mujhe dīvāna chhoḌ kar
masjid meñ bhī to ahl-e-riyā kī kamī nahīñ
nā-haq ham aa.e sohbat-e-but-ḳhāna chhoḌ kar
hum to na jaenge dar-e-jaanana chhoD kar
jata hai barhaman kahin but-KHana chhoD kar
nibhti hai tauba KHauf shamatat se warna dil
pachta raha hai mashrab-e-rindana chhoD kar
bole wo qissa-KHwan se meri dastan par
kuchh aur zikr chheD ye afsana chhoD kar
jannat ki aarzu mein rahe kaun hashr tak
waiz ye aish-o-ishrat-e-mai-KHana chhoD kar
jaanan kahan yagana samajhta agar mujhe
begane ko gaya dil-e-begana chhoD kar
ai sail-e-ashk tu ho jahan koi ghar kahan
apna guzar kahin nahin virana chhoD kar
aae jo pesh mai-kada do-chaar mo'taqid
bhaga hai shaiKH subha-e-sad chhoD kar
diwana hun to chahe tanha na rahne do
jate ho tum kahan mujhe diwana chhoD kar
masjid mein bhi to ahl-e-riya ki kami nahin
na-haq hum aae sohbat-e-but-KHana chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.