hum to us kuche mein ghabra ke chale aate hain
hum to us kuche mein ghabra ke chale aate hain
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
ham to us kūche meñ ghabrā ke chale aate haiñ
do qadam jaate haiñ phir jā ke chale aate haiñ
ham ko ai sharm Tuk ab us kī taraf jaane de
haal apnā use dikhlā ke chale aate haiñ
din ko zinhār Thaharte nahīñ ham us kū maiñ
raat ko milne kī Thahrā ke chale aate haiñ
vo adā-kushta Thahartā nahīñ phir maqtal meñ
laash ko jis kī vo Thukrā ke chale aate haiñ
maiñ bharose hī meñ rahtā huuñ tirī zulfoñ meñ
yaar mere mujhe phañsvā ke chale aate haiñ
vo jo miltā nahīñ ham us kī galī meñ dil ko
dar-o-dīvār se bahlā ke chale aate haiñ
jaate haiñ kūche meñ ham us ke to vaañ ġhair ko dekh
phir na aane kī qasam khā ke chale aate haiñ
qaidī mar jaate haiñ jab aap kabhī zindāñ ke
qufl darvāze ko lagvā ke chale aate haiñ
chhuTte haiñ jo asīrān-e-qafas gulshan meñ
kyā hī par shauq se phailā ke chale aate haiñ
ġhair jab vasl kā kartā hai savāl un se to ve
kaise mahjūb ho dam khā ke chale aate haiñ
rah-ravān-e-safar-e-bādiya-e-ishq ai vaa.e
qāfile raah meñ luTvā ke chale aate haiñ
maiñ to samjhā thā bujhāveñge kuchh aañsū tuf-e-dil
ye to aur aag ko bhaḌkā ke chale aate haiñ
saath mayyat ke mirī vo nahīñ chalte do qadam
bas vahīñ na.ash ko uThvā ke chale aate haiñ
dil kī betābī se jaate to haiñ ham us kū meñ
lek is jaane se pachhtā ke chale aate haiñ
badraqa gar nahīñ ahbāb to phir kyuuñ pas-e-marg
tā-ba-manzil mujhe pahuñchā ke chale aate haiñ
'mus.hafī' ke ta.iiñ dekheñ haiñ jo vo kushta paḌā
paas jaate nahīñ sharmā ke chale aate haiñ
hum to us kuche mein ghabra ke chale aate hain
do qadam jate hain phir ja ke chale aate hain
hum ko ai sharm Tuk ab us ki taraf jaane de
haal apna use dikhla ke chale aate hain
din ko zinhaar Thaharte nahin hum us ku main
raat ko milne ki Thahra ke chale aate hain
wo ada-kushta Thaharta nahin phir maqtal mein
lash ko jis ki wo Thukra ke chale aate hain
main bharose hi mein rahta hun teri zulfon mein
yar mere mujhe phanswa ke chale aate hain
wo jo milta nahin hum us ki gali mein dil ko
dar-o-diwar se bahla ke chale aate hain
jate hain kuche mein hum us ke to wan ghair ko dekh
phir na aane ki qasam kha ke chale aate hain
qaidi mar jate hain jab aap kabhi zindan ke
qufl darwaze ko lagwa ke chale aate hain
chhuTte hain jo asiran-e-qafas gulshan mein
kya hi par shauq se phaila ke chale aate hain
ghair jab wasl ka karta hai sawal un se to we
kaise mahjub ho dam kha ke chale aate hain
rah-rawan-e-safar-e-baadiya-e-ishq ai wae
qafile rah mein luTwa ke chale aate hain
main to samjha tha bujhawenge kuchh aansu tuf-e-dil
ye to aur aag ko bhaDka ke chale aate hain
sath mayyat ke meri wo nahin chalte do qadam
bas wahin nash ko uThwa ke chale aate hain
dil ki betabi se jate to hain hum us ku mein
lek is jaane se pachhta ke chale aate hain
badraqa gar nahin ahbab to phir kyun pas-e-marg
ta-ba-manzil mujhe pahuncha ke chale aate hain
'mushafi' ke tain dekhen hain jo wo kushta paDa
pas jate nahin sharma ke chale aate hain
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 149)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.