hum to uTThenge usi rah pe chalne ke liye
ham to uTTheñge usī raah pe chalne ke liye
vaqt lagtā hai magar kar ke sañbhalne ke liye
saaz bechain hai har dard ugalne ke liye
naġhme be-tāb haiñ tāroñ se nikalne ke liye
koī ūñchā.ī pe rahtā nahīñ duniyā meñ sadā
roz sūraj bhī nikaltā hai to Dhalne ke liye
kuchh na kuchh kījiye hujroñ se nikal kar apne
vā.izo qaum kī qismat ko badalne ke liye
har taraf aag hai nafrat kī vatan meñ phailī
sirf ham log haiñ is aag meñ jalne ke liye
ham jahāñ rahte haiñ us shahr kī tārīf suno
har musībat yahāñ aatī hai na Talne ke liye
apnā māhaul bhī badlā nahīñ apne hāthoñ
ham to nikle the zamāne ko badalne ke liye
ek muuzī hī nahīñ ham ko nigalne vaalā
us ke azhdar bhī to haiñ ham ko nigalne ke liye
phuul khilte hī gulistāñ meñ achānak ai 'ziyā'
haath baḌhte haiñ faqat un ko masalne ke liye
hum to uTThenge usi rah pe chalne ke liye
waqt lagta hai magar kar ke sanbhalne ke liye
saz bechain hai har dard ugalne ke liye
naghme be-tab hain taron se nikalne ke liye
koi unchai pe rahta nahin duniya mein sada
roz suraj bhi nikalta hai to Dhalne ke liye
kuchh na kuchh kijiye hujron se nikal kar apne
waizo qaum ki qismat ko badalne ke liye
har taraf aag hai nafrat ki watan mein phaili
sirf hum log hain is aag mein jalne ke liye
hum jahan rahte hain us shahr ki tarif suno
har musibat yahan aati hai na Talne ke liye
apna mahaul bhi badla nahin apne hathon
hum to nikle the zamane ko badalne ke liye
ek muzi hi nahin hum ko nigalne wala
us ke azhdar bhi to hain hum ko nigalne ke liye
phul khilte hi gulistan mein achanak ai 'ziya'
hath baDhte hain faqat un ko masalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.