hum tumhaare kuche ki rasm ko nibhaenge
ham tumhāre kūche kī rasm ko nibhā.eñge
phuul phuul aa.e the zaḳhm zaḳhm jā.eñge
tum hasīn phūloñ ko shāḳh shāḳh se chun lo
zard zard pattoñ ko ham sameT lā.eñge
dhuup ke musāfir haiñ dhuup dhuup chalne do
hai shajar shajar nangā sar kahāñ chhupā.eñge
fard fard rahne se qāfile nahīñ bante
fard fard mil hī kar qāfile banā.eñge
kuchh patā nahīñ chaltā raat kitnī baaqī hai
kab talak charāġhoñ meñ ḳhūn-e-dil jalā.eñge
ham buland-himmat haiñ teġh se nahīñ Darte
qātiloñ kī mahfil meñ sar uThā ke jā.eñge
tah-ba-tah zamāne kī gard jam ga.ī 'hāmī'
aa.ina huā dhuñdlā saaf kar na pā.eñge
hum tumhaare kuche ki rasm ko nibhaenge
phul phul aae the zaKHm zaKHm jaenge
tum hasin phulon ko shaKH shaKH se chun lo
zard zard patton ko hum sameT laenge
dhup ke musafir hain dhup dhup chalne do
hai shajar shajar nanga sar kahan chhupaenge
fard fard rahne se qafile nahin bante
fard fard mil hi kar qafile banaenge
kuchh pata nahin chalta raat kitni baqi hai
kab talak charaghon mein KHun-e-dil jalaenge
hum buland-himmat hain tegh se nahin Darte
qatilon ki mahfil mein sar uTha ke jaenge
tah-ba-tah zamane ki gard jam gai 'hami'
aaina hua dhundla saf kar na paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.