hum tumhein yaad karte rahe
ham tumheñ yaad karte rahe
vaqt barbād karte rahe
sunñe vaalā koī bhī na thā
phir bhī fariyād karte rahe
kyā batā.eñ ki ham yaar kyā
hijr ke ba.ad karte rahe
qaid se chhūT kar jā-ba-jā
zikr-e-sayyād karte rahe
kyūñkar apnoñ ko nāshād kar
ġhair ko shaad karte rahe
zaḳhm ko chheḌte hī chale
dard ījād karte rahe
ho ke 'afrang' barbād ḳhud
kis ko ābād karte rahe
hum tumhein yaad karte rahe
waqt barbaad karte rahe
sunne wala koi bhi na tha
phir bhi fariyaad karte rahe
kya bataen ki hum yar kya
hijr ke baad karte rahe
qaid se chhuT kar ja-ba-ja
zikr-e-sayyaad karte rahe
kyunkar apnon ko nashad kar
ghair ko shad karte rahe
zaKHm ko chheDte hi chale
dard ijad karte rahe
ho ke 'afrang' barbaad KHud
kis ko aabaad karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.