hum ujale tere galiyon ke jidhar jate hain
ham ujāle tire galiyoñ ke jidhar jaate haiñ
suune suune se dar-o-bām sañvar jaate haiñ
laakh hañstā hai khaḌā rāhoñ meñ āñkhoñ kā hujūm
tere vahshī haiñ ki chup-chāp guzar jaate haiñ
koī kis dil se sajā.e hameñ āñkhoñ meñ bhalā
ham vo sapne haiñ jo lamhoñ meñ bikhar jaate haiñ
ik na.e ḳhvāb kī hasrat meñ na pūchh ai hamdam
āñkhoñ āñkhoñ meñ shab-o-roz guzar jaate haiñ
ham musāfir haiñ rah-e-zīst meñ chalte chalte
koī bhī ham ko pukāre to Thahar jaate haiñ
raushnī naam kī har shai se mohabbat thī kabhī
ab to har sub.h-e-ziyā-bār se Dar jaate haiñ
ham ki sahrā-e-mohabbat meñ dam-e-ḳhāmoshī
kitnī āvāzoñ ke saa.e se guzar jaate haiñ
ham hirāsāñ to nahīñ gardish-e-daurāñ se magar
aap kī shoḳhī-e-raftār se Dar jaate haiñ
mahvashoñ ko na dikhā ā.ina-e-ġham 'nāzim'
ye vo chehre haiñ ki pal bhar meñ utar jaate haiñ
hum ujale tere galiyon ke jidhar jate hain
sune sune se dar-o-baam sanwar jate hain
lakh hansta hai khaDa rahon mein aankhon ka hujum
tere wahshi hain ki chup-chap guzar jate hain
koi kis dil se sajae hamein aankhon mein bhala
hum wo sapne hain jo lamhon mein bikhar jate hain
ek nae KHwab ki hasrat mein na puchh ai hamdam
aankhon aankhon mein shab-o-roz guzar jate hain
hum musafir hain rah-e-zist mein chalte chalte
koi bhi hum ko pukare to Thahar jate hain
raushni nam ki har shai se mohabbat thi kabhi
ab to har subh-e-ziya-bar se Dar jate hain
hum ki sahra-e-mohabbat mein dam-e-KHamoshi
kitni aawazon ke sae se guzar jate hain
hum hirasan to nahin gardish-e-dauran se magar
aap ki shoKHi-e-raftar se Dar jate hain
mahwashon ko na dikha aaina-e-gham 'nazim'
ye wo chehre hain ki pal bhar mein utar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.