hum un ke ishq mein jalte hain aur pahlu badalte hain
ham un ke ishq meñ jalte haiñ aur pahlū badalte haiñ
hai kyā ye bhī maqām-e-rashk ham se log jalte haiñ
vo qatl-e-ām bhī kar deñ to un ko daad miltī hai
hamārī aañkh ke aañsū bhī is duniyā ko khalte haiñ
vo jab koī sitam dhāte haiñ jaane kyoñ ye hotā hai
na.e jazbe machalte haiñ na.e tūfāñ ubalte haiñ
alag ye baat hai chāleñ ulaT paḌtī haiñ ḳhud un par
vo jab chalte haiñ koī shātirāna chaal chalte haiñ
nigah rakkho ki in maujoñ meñ uft-o-ḳhez kaisī hai
kabhī ayyām ke dhāre achānak ruḳh badalte haiñ
baḌī pyārī lageñgī kal ye daur-e-hijr kī ghaḌiyāñ
abhī tak ḳhaam the jazbe so ab sāñche meñ Dhalte haiñ
adā-e-yār meñ ab ik nirālā tīkhā-pan ubhrā
nigāh-e-nāz meñ ab kuchh na.e pahlū nikalte haiñ
shab-e-tārīk-e-zindāñ kī siyāhī se na ghabrāo
isī kī god meñ fardā ke mehr-o-māh palte haiñ
hum un ke ishq mein jalte hain aur pahlu badalte hain
hai kya ye bhi maqam-e-rashk hum se log jalte hain
wo qatl-e-am bhi kar den to un ko dad milti hai
hamari aankh ke aansu bhi is duniya ko khalte hain
wo jab koi sitam dhate hain jaane kyon ye hota hai
nae jazbe machalte hain nae tufan ubalte hain
alag ye baat hai chaalen ulaT paDti hain KHud un par
wo jab chalte hain koi shatirana chaal chalte hain
nigah rakkho ki in maujon mein uft-o-KHez kaisi hai
kabhi ayyam ke dhaare achanak ruKH badalte hain
baDi pyari lagengi kal ye daur-e-hijr ki ghaDiyan
abhi tak KHam the jazbe so ab sanche mein Dhalte hain
ada-e-yar mein ab ek nirala tikha-pan ubhra
nigah-e-naz mein ab kuchh nae pahlu nikalte hain
shab-e-tarik-e-zindan ki siyahi se na ghabrao
isi ki god mein farda ke mehr-o-mah palte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.