hum un ke jab talak marham na honge
hum un ke jab talak marham na honge
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
ham un ke jab talak marham na hoñge
masā.il tab talak ye kam na hoñge
tirī nazreñ falak pe gar raheñgī
sitāre phir kabhī maddham na hoñge
mujhe gar vaqt ko aaya ghumānā
diye mujh ko jo saare ġham na hoñge
anā kī chaal jab dariyā chalegā
alaknanda meñ phir sangam na hoñge
hamīñ par ishq kī hai āzmā.ish
kaTā deñ sar bhī to aazam na hoñge
bhalā kyoñ manziloñ meñ zo'm aaya
mirī rāhoñ meñ ab resham na hoñge
jahāñ maiñ se hī dil ho shā.irāna
vahīñ par ham bhī to phir ham na hoñge
nadī insāñ ke kaise paap dho.e
jo dariyā hoñge par zamzam na hoñge
kabhī gul-pāsh se gul-pāshī sīkheñ
dinoñ din phuul phir be-dam na hoñge
yahīñ ḳhvāboñ meñ vo jo milne aa.eñ
nazāre aise to durgam na hoñge
tire aane se phir barsāt hogī
ye jo mausam haiñ be-mausam na hoñge
diloñ pe tiir vo maare hī jaate
unhīñ ghāoñ ke ab marham na hoñge
diye jo ek jhoñke meñ bujheñge
vo āñdhī se kabhī bāham na hoñge
bichhaḌ kar kaun se ham jī hī paa.e
mohabbat meñ vahī aalam na hoñge
kabhī vo ham se yuuñ Takrā ga.e to
hamāre paañv mustahkam na hoñge
hum un ke jab talak marham na honge
masail tab talak ye kam na honge
teri nazren falak pe gar rahengi
sitare phir kabhi maddham na honge
mujhe gar waqt ko aaya ghumana
diye mujh ko jo sare gham na honge
ana ki chaal jab dariya chalega
alaknanda mein phir sangam na honge
hamin par ishq ki hai aazmaish
kaTa den sar bhi to aazam na honge
bhala kyon manzilon mein zo'm aaya
meri rahon mein ab resham na honge
jahan main se hi dil ho shairana
wahin par hum bhi to phir hum na honge
nadi insan ke kaise pap dhoe
jo dariya honge par zamzam na honge
kabhi gul-pash se gul-pashi sikhen
dinon din phul phir be-dam na honge
yahin KHwabon mein wo jo milne aaen
nazare aise to durgam na honge
tere aane se phir barsat hogi
ye jo mausam hain be-mausam na honge
dilon pe tir wo mare hi jate
unhin ghaon ke ab marham na honge
diye jo ek jhonke mein bujhenge
wo aandhi se kabhi baham na honge
bichhaD kar kaun se hum ji hi pae
mohabbat mein wahi aalam na honge
kabhi wo hum se yun Takra gae to
hamare panw mustahkam na honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.