hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe
ham un ke naqsh-e-qadam hī ko jaada karte rahe
jo gumrahī ke safar kā i.aada karte rahe
ka.ī savāb to nisyāñ meñ ho ga.e ham se
gunāh kitne hī ham be-irāda karte rahe
na sirf ahl-e-ḳhirad hī kā ham pe ehsāñ hai
ki ahmaqoñ se bhī ham istifāda karte rahe
kuchh is salīqe se guzrī hai zindagī apnī
har ek tiir pe ham dil kushāda karte rahe
mire giroh kā rishta hai us qabīle se
jo zindagī kā safar pā-piyāda karte rahe
huā hai aisā ki fāriġh irādatan bhī kabhī
ham apnī raah meñ kāñTe ziyāda karte rahe
hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe
jo gumrahi ke safar ka iada karte rahe
kai sawab to nisyan mein ho gae hum se
gunah kitne hi hum be-irada karte rahe
na sirf ahl-e-KHirad hi ka hum pe ehsan hai
ki ahmaqon se bhi hum istifada karte rahe
kuchh is saliqe se guzri hai zindagi apni
har ek tir pe hum dil kushada karte rahe
mere giroh ka rishta hai us qabile se
jo zindagi ka safar pa-piyaada karte rahe
hua hai aisa ki farigh iradatan bhi kabhi
hum apni rah mein kanTe ziyaada karte rahe
- Book : Khayaabaan (Pg. 110)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.