hum un ke samne is tarah sharh-e-gham bayan kar len
hum un ke samne is tarah sharh-e-gham bayan kar len
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
ham un ke sāmne is tarah sharh-e-ġham bayāñ kar leñ
hamārī dāstāñ ko ḳhud vo apnī dāstāñ kar leñ
ilāhī aur bhī kuchh tuul kar de roz-e-mahshar ko
ki tere rū-ba-rū ḳhatm apne ġham kī dāstāñ kar leñ
vo bīnā.ī atā kar ham ko yā-rab dair-o-ka.aba kyā
tire jalve kā nazzāra jahāñ chāheñ vahāñ kar leñ
ḳhizāñ aane to do pūchheñge ham un se mizāj un kā
gul-o-ġhunche chaman meñ aur do din shoḳhiyāñ kar leñ
shab-e-ġham ġham ke pāloñ ko hai hāsil kyā ba-juz is ke
taḌap leñ āh-o-giryā kar leñ fariyād-o-fuġhāñ kar leñ
vo din aa.e kahīñ zauq-e-jabīñ-sā.ī meñ ai 'sābir'
ho zauq aisā ki jis meñ jazb un kā āstāñ kar leñ
hum un ke samne is tarah sharh-e-gham bayan kar len
hamari dastan ko KHud wo apni dastan kar len
ilahi aur bhi kuchh tul kar de roz-e-mahshar ko
ki tere ru-ba-ru KHatm apne gham ki dastan kar len
wo binai ata kar hum ko ya-rab dair-o-kaba kya
tere jalwe ka nazzara jahan chahen wahan kar len
KHizan aane to do puchhenge hum un se mizaj un ka
gul-o-ghunche chaman mein aur do din shoKHiyan kar len
shab-e-gham gham ke palon ko hai hasil kya ba-juz is ke
taDap len aah-o-girya kar len fariyaad-o-fughan kar len
wo din aae kahin zauq-e-jabin-sai mein ai 'sabir'
ho zauq aisa ki jis mein jazb un ka aastan kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.