hum unki bazm mein logon ko kam dikhai diye

hum unki bazm mein logon ko kam dikhai diye
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
ham un kī bazm meñ logoñ ko kam dikhā.ī diye
kisī ne ham ko pukārā to ham dikhā.ī diye
jo sarfarāz the sar un ke ḳham dikhā.ī diye
jahāñ-jahāñ tire naqsh-e-qadam dikhā.ī diye
vo jis galī meñ hameñ rokte the jaane se
usī galī meñ ka.ī mohtaram dikhā.ī diye
so apne dil meñ unheñ bhī panāh denī paḌī
ḳhushī ko DhūñD rahe the ki ġham dikhā.ī diye
patā chalā ki dikhāvā thā aur kuchh bhī nahīñ
qadam qadam pe jo ahl-e-karam dikhā.ī diye
ginā rahe the fazīlat jo mil ke rahne kī
satīza-kār vo saare baham dikhā.ī diye
ye aur baat muḳhātab nahīñ hue ham se
yahī bahut hai ki vo kam se kam dikhā.ī diye
sab apne aap ko afzal batā rahe the 'shakīl'
'ajīb haal meñ ahl-e-haram dikhā.ī diye
hum un ki bazm mein logon ko kam dikhai diye
kisi ne hum ko pukara to hum dikhai diye
jo sarfaraaz the sar un ke KHam dikhai diye
jahan-jahan tere naqsh-e-qadam dikhai diye
wo jis gali mein hamein rokte the jaane se
usi gali mein kai mohtaram dikhai diye
so apne dil mein unhen bhi panah deni paDi
KHushi ko DhunD rahe the ki gham dikhai diye
pata chala ki dikhawa tha aur kuchh bhi nahin
qadam qadam pe jo ahl-e-karam dikhai diye
gina rahe the fazilat jo mil ke rahne ki
satiza-kar wo sare baham dikhai diye
ye aur baat muKHatab nahin hue hum se
yahi bahut hai ki wo kam se kam dikhai diye
sab apne aap ko afzal bata rahe the 'shakil'
'ajib haal mein ahl-e-haram dikhai diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.