hum unki talKH-bayani pasand karte hain
hum unki talKH-bayani pasand karte hain
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
ham un kī talḳh-bayānī pasand karte haiñ
vo lab ġhazab haiñ ki hanzal ko qand karte haiñ
nahīñ pahuñchte mire gul ke qadd-e-mauzūñ ko
hazār sarv qad apnā buland karte haiñ
na hūñgā tārik-e-mai nāsehoñ ke kahne se
ye kyoñ phirāte haiñ sar kis ko pand karte haiñ
sunahre kapḌoñ meñ malte haiñ itr sandal kā
vo aaj apne ko sonā-sūgand karte haiñ
vo gaalī de ke lab-e-shakkarīñ se āshiq ko
miThās naql-e-suḳhan kī do chand karte haiñ
unheñ to manā nahīñ karte zulm se nāseh
hamīñ ko ta.ana-o-tashnī.a-o-pand karte haiñ
kisī ke hai lab-e-shīrīñ kī hamsarī kī sazā
jo nai-shakar ke judā band band karte haiñ
vo dekhte haiñ jise ḳhvāb meñ na dekhe koī
jab āñkheñ apnī tasavvur meñ band karte haiñ
hamāre haal par ab tak itaab hai 'bāqī'
vo imtihān bhalā tā-ba-chand karte haiñ
hum un ki talKH-bayani pasand karte hain
wo lab ghazab hain ki hanzal ko qand karte hain
nahin pahunchte mere gul ke qadd-e-mauzun ko
hazar sarw qad apna buland karte hain
na hunga tarik-e-mai nasehon ke kahne se
ye kyon phiraate hain sar kis ko pand karte hain
sunahre kapDon mein malte hain itr sandal ka
wo aaj apne ko sona-sugand karte hain
wo gali de ke lab-e-shakkarin se aashiq ko
miThas naql-e-suKHan ki do chand karte hain
unhen to mana nahin karte zulm se naseh
hamin ko tana-o-tashnia-o-pand karte hain
kisi ke hai lab-e-shirin ki hamsari ki saza
jo nai-shakar ke juda band band karte hain
wo dekhte hain jise KHwab mein na dekhe koi
jab aankhen apni tasawwur mein band karte hain
hamare haal par ab tak itab hai 'baqi'
wo imtihan bhala ta-ba-chand karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.