hum un se mil ke unhi ke asar mein rahte hain
ham un se mil ke unhī ke asar meñ rahte haiñ
safar se aa ke bhī jaise safar meñ rahte haiñ
vo qahqahe jinheñ hoñToñ kā dar nasīb nahīñ
vo ashk ban ke mirī chashm-e-tar meñ rahte haiñ
hamāre ishq ke tohfe ko ehtiyāt se rakh
bahut se lauTne vaale nagar meñ rahte haiñ
bhulā.egā koī kaise karam rafīqoñ ke
ye tiir vo haiñ jo har-dam jigar meñ rahte haiñ
na maañ kā pyaar mayassar na apne ghar kā sakūñ
vo kaise log haiñ jā kar qatar meñ rahte haiñ
hasīñ misāl hai bāham nibāh kī 'kāvish'
gulāb jitne haiñ kāñToñ ke ghar meñ rahte haiñ
hum un se mil ke unhi ke asar mein rahte hain
safar se aa ke bhi jaise safar mein rahte hain
wo qahqahe jinhen honTon ka dar nasib nahin
wo ashk ban ke meri chashm-e-tar mein rahte hain
hamare ishq ke tohfe ko ehtiyat se rakh
bahut se lauTne wale nagar mein rahte hain
bhulaega koi kaise karam rafiqon ke
ye tir wo hain jo har-dam jigar mein rahte hain
na man ka pyar mayassar na apne ghar ka sakun
wo kaise log hain ja kar qatar mein rahte hain
hasin misal hai baham nibah ki 'kawish'
gulab jitne hain kanTon ke ghar mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.