hum uThe aawaz-e-haq jab bhi uThane ke liye
ham uThe āvāz-e-haq jab bhī uThāne ke liye
nā-pasandīda hue duniyā zamāne ke liye
saḳhtiyāñ ġham kī musir ham ko rulāne ke liye
aur ham majbūr-o-bebas muskurāne ke liye
vahshateñ saarī simaT kar aa ga.iiñ sahrāoñ se
ham jo baiThe aaj ghar apnā sajāne ke liye
dar-ba-dar kyoñ nāsiya-farsā.ī kī zahmat kareñ
mustaqil jab ek ghar hai sar jhukāne ke liye
aap kī fitrat meñ dil-jūī nahīñ to na sahī
aa to sakte haiñ hamārā dil dukhāne ke liye
apnā maazī yaad rakhnā aaj bhī 'najma-azīz'
hai zarūrī apnā mustaqbil banāne ke liye
hum uThe aawaz-e-haq jab bhi uThane ke liye
na-pasandida hue duniya zamane ke liye
saKHtiyan gham ki musir hum ko rulane ke liye
aur hum majbur-o-bebas muskurane ke liye
wahshaten sari simaT kar aa gain sahraon se
hum jo baiThe aaj ghar apna sajaane ke liye
dar-ba-dar kyon nasiya-farsai ki zahmat karen
mustaqil jab ek ghar hai sar jhukane ke liye
aap ki fitrat mein dil-jui nahin to na sahi
aa to sakte hain hamara dil dukhane ke liye
apna mazi yaad rakhna aaj bhi 'najma-aziz'
hai zaruri apna mustaqbil banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.