hum uTThe to kya raunaq-e-mai-KHana wahi hai
hum uTThe to kya raunaq-e-mai-KHana wahi hai
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
ham uTThe to kyā raunaq-e-mai-ḳhāna vahī hai
saaqī vahī baada vahī paimāna vahī hai
farzāna jise kahte ho dīvāna vahī hai
dīvāna jise samjhe ho farzāna vahī hai
husn aur mohabbat kā hai mauzūa purānā
unvān badalte rahe afsāna vahī hai
is husn-e-jahāñ-tāb pe marte haiñ hazāroñ
dekho jise is husn kā parvāna vahī hai
dil de koī jaañ de koī izzat koī daulat
jo husn ko maqbūl ho nazrāna vahī hai
jo kul meñ hai vo juz meñ hai jo juz hai vahī kul
ā.īne ke TukḌoñ meñ parī-ḳhāna vahī hai
jis dil meñ ḳhudā rahtā thā tum aan base ho
ka.aba jo thā kal aaj sanam-ḳhāna vahī hai
din-rāt jo āñkhoñ se bahe paanī hai paanī
jo dukh meñ kisī ke bahe durdāna vahī hai
chaTkā bhī to dil kī tarah āvāz na ubhrī
jo ḳhaak se merī banā paimāna vahī hai
rāhat meñ to ma.abūd kā sab karte haiñ sajda
haañ dukh meñ kare yaad to shukrāna vahī hai
kyā baat hai gulshan kī 'fazā' kyoñ nahīñ badlī
sayyād vahī daam vahī daana vahī hai
hum uTThe to kya raunaq-e-mai-KHana wahi hai
saqi wahi baada wahi paimana wahi hai
farzana jise kahte ho diwana wahi hai
diwana jise samjhe ho farzana wahi hai
husn aur mohabbat ka hai mauzua purana
unwan badalte rahe afsana wahi hai
is husn-e-jahan-tab pe marte hain hazaron
dekho jise is husn ka parwana wahi hai
dil de koi jaan de koi izzat koi daulat
jo husn ko maqbul ho nazrana wahi hai
jo kul mein hai wo juz mein hai jo juz hai wahi kul
aaine ke TukDon mein pari-KHana wahi hai
jis dil mein KHuda rahta tha tum aan base ho
kaba jo tha kal aaj sanam-KHana wahi hai
din-raat jo aankhon se bahe pani hai pani
jo dukh mein kisi ke bahe durdana wahi hai
chaTka bhi to dil ki tarah aawaz na ubhri
jo KHak se meri bana paimana wahi hai
rahat mein to mabud ka sab karte hain sajda
han dukh mein kare yaad to shukrana wahi hai
kya baat hai gulshan ki 'faza' kyon nahin badli
sayyaad wahi dam wahi dana wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.