hum waqt ke ham-safar hi Thahre
ham vaqt ke ham-safar hī Thahre
kab tak koī apne ghar hī Thahre
hai kokh koī sadaf nahīñ hai
lāzim to nahīñ guhar hī Thahre
jī leñge vo lamha oḌh kar ham
ai kaash vo lamha bhar hī Thahre
ūñchī thiiñ uḌāneñ jin kī vo bhī
zindagī-e-bām-o-dar hī Thahre
is shahr meñ zindagī girāñ hai
jo Thahre vo daar par hī Thahre
sūraj thā ki chāñd thā ki taare
sab jāh-parast udhar hī Thahre
ham log vo varaq-pā haiñ 'fāriġh'
jannat meñ bhī muḳhtasar hī Thahre
hum waqt ke ham-safar hi Thahre
kab tak koi apne ghar hi Thahre
hai kokh koi sadaf nahin hai
lazim to nahin guhar hi Thahre
ji lenge wo lamha oDh kar hum
ai kash wo lamha bhar hi Thahre
unchi thin uDanen jin ki wo bhi
zindagi-e-baam-o-dar hi Thahre
is shahr mein zindagi giran hai
jo Thahre wo dar par hi Thahre
suraj tha ki chand tha ki tare
sab jah-parast udhar hi Thahre
hum log wo waraq-pa hain 'farigh'
jannat mein bhi muKHtasar hi Thahre
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 175)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.