hum wo majbur ki hijrat bhi nahin kar sakte
ham vo majbūr ki hijrat bhī nahīñ kar sakte
ya.anī āzādī kī chāhat bhī nahīñ kar sakte
apne ka.abe pe to qabza hai azāzīloñ kā
ham to ab khul ke ibādat bhī nahīñ kar sakte
turkiyā mast-e-mai-e-nāb arab mast-e-ma.āsh
ab to vo merī himāyat bhī nahīñ kar sakte
qātilo Thahro zarā ek to sajda kar luuñ
kyā zarā sī ye ri.āyat bhī nahīñ kar sakte
jo bhī thā sab to luTā Daalā hai hazrat ab kyā
aap ab aur saḳhāvat bhī nahīñ kar sakte
naam rakkhā hai musalmānoñ sā mar jaao ki tum
qaum-e-muslim se barā.at bhī nahīñ kar sakte
'dānish-asrī’ ne batā.ī thī tumheñ kal kī ḳhabar
tum to ab us se shikāyat bhī nahīñ kar sakte
hum wo majbur ki hijrat bhi nahin kar sakte
yani aazadi ki chahat bhi nahin kar sakte
apne kabe pe to qabza hai azazilon ka
hum to ab khul ke ibaadat bhi nahin kar sakte
turkiya mast-e-mai-e-nab arab mast-e-maash
ab to wo meri himayat bhi nahin kar sakte
qatilo Thahro zara ek to sajda kar lun
kya zara si ye riayat bhi nahin kar sakte
jo bhi tha sab to luTa Dala hai hazrat ab kya
aap ab aur saKHawat bhi nahin kar sakte
nam rakkha hai musalmanon sa mar jao ki tum
qaum-e-muslim se baraat bhi nahin kar sakte
'danish-asri’ ne batai thi tumhein kal ki KHabar
tum to ab us se shikayat bhi nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.