hum wo panchhi jin ke ghar se dur basere hote hain
ham vo panchhī jin ke ghar se duur basere hote haiñ
raat ko ḳhvāb ḳhayāl ke lashkar dil ko ghere hote haiñ
soch soch kar mar jaatī haiñ ḳhvāboñ kī ta.abīreñ bhī
ḳhvāb jo tere hote haiñ aur ḳhvāb jo mere hote haiñ
ishq kā hāsil kuchh bhī ho ik nisbat bhī kyā kam shai hai
kuchh naañ kuchh to hote haiñ jo baal bikhere hote haiñ
dil kī sham.eñ jalne do in āñkhoñ ko raushan kar lo
kahte haiñ dil jalte haiñ to duur añdhere hote haiñ
qismat likhtī jaatī hai ham us ko paḌhte jaate haiñ
'arshad' ab to yādoñ hī meñ ghar ke phere hote haiñ
hum wo panchhi jin ke ghar se dur basere hote hain
raat ko KHwab KHayal ke lashkar dil ko ghere hote hain
soch soch kar mar jati hain KHwabon ki tabiren bhi
KHwab jo tere hote hain aur KHwab jo mere hote hain
ishq ka hasil kuchh bhi ho ek nisbat bhi kya kam shai hai
kuchh nan kuchh to hote hain jo baal bikhere hote hain
dil ki shamen jalne do in aankhon ko raushan kar lo
kahte hain dil jalte hain to dur andhere hote hain
qismat likhti jati hai hum us ko paDhte jate hain
'arshad' ab to yaadon hi mein ghar ke phere hote hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 188)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.