hum yahi soch rahe the ki samandar na rahe
ham yahī soch rahe the ki samandar na rahe
mauja-e-dil ne kahā uTh ke shanāvar na rahe
us ne himmat jo baḌhā.ī to rakhā ye bhī lihāz
koī buzdil na bane koī dilāvar na rahe
us ne is tarh utārī mire ġham kī tasvīr
rang mahfūz to rah jaa.eñ pa manzar na rahe
us ne kis naaz se baḳhshī hai mujhe jā-e-panāh
yuuñ ki dīvār salāmat ho magar ghar na rahe
ab ye sāzish hai ki likkhe na koī qissa-e-dil
lafz rah jaa.eñ magar koī suḳhanvar na rahe
apne bigḌe hue chehroñ ko bhulā deñ sab log
jashn-e-ā.īna mane hāthoñ meñ patthar na rahe
ab ke āñdhī bhī chalī jab to salīqe se chalī
yuuñ ki rah jaa.e shajar shāḳh-e-samar-var na rahe
hum yahi soch rahe the ki samandar na rahe
mauja-e-dil ne kaha uTh ke shanawar na rahe
us ne himmat jo baDhai to rakha ye bhi lihaz
koi buzdil na bane koi dilawar na rahe
us ne is tarh utari mere gham ki taswir
rang mahfuz to rah jaen pa manzar na rahe
us ne kis naz se baKHshi hai mujhe ja-e-panah
yun ki diwar salamat ho magar ghar na rahe
ab ye sazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil
lafz rah jaen magar koi suKHanwar na rahe
apne bigDe hue chehron ko bhula den sab log
jashn-e-aina mane hathon mein patthar na rahe
ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali
yun ki rah jae shajar shaKH-e-samar-war na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.