hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae
ham ye chāheñ hameñ inkār kī jur.at ho jaa.e
lab tak aa.e to vahī harf-e-nadāmat ho jaa.e
merī socheñ mirā ehsās mirī hī āvāz
mere sheroñ se magar aap kī shohrat ho jaa.e
ḳhaak ho kar vo havāoñ meñ bikharnā chāhe
jab kisī ko dar-o-dīvār se vahshat ho jaa.e
aisī duniyā meñ baḌī baat hai zinda rahnā
yuuñ to vīrāne meñ rahnā bhī ibādat ho jaa.e
zindagī husn hai aur husn kashish rakhtā hai
varna har shaḳhs ko jaañ dene kī fursat ho jaa.e
iḳhtilāfāt bhī hoñ sulh bhī ho jaa.e agar
ranjishoñ meñ hameñ ehsās-e-muravvat ho jaa.e
hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae
lab tak aae to wahi harf-e-nadamat ho jae
meri sochen mera ehsas meri hi aawaz
mere sheron se magar aap ki shohrat ho jae
KHak ho kar wo hawaon mein bikharna chahe
jab kisi ko dar-o-diwar se wahshat ho jae
aisi duniya mein baDi baat hai zinda rahna
yun to virane mein rahna bhi ibaadat ho jae
zindagi husn hai aur husn kashish rakhta hai
warna har shaKHs ko jaan dene ki fursat ho jae
iKHtilafat bhi hon sulh bhi ho jae agar
ranjishon mein hamein ehsas-e-murawwat ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.